Kya kaha kya na kaha kyu na poocha o priye
kud se kahun ga mein jo kuch
aadat ye meri nahi priye
Kya dekha kya na dekha kya hai ye koi raaz priye
Aati agar tum paas mein mere
sub batla deta priya
Kya chaha kya na chaha, kya jaanti ho tum priye
haat thame baithi rahi tum neere thoont si
Kya kabi maan ki vyatha ko jaan paayi tum priye
Kya kaha kya na kaha kyu na poocha o priye
kud se kahun ga mein jo kuch
aadat ye meri nahi priye
Kab mein aaya aur gaya yeh bhi tumhe maaloom tha kab
kab din yeh guzra raat aayi yeh na dekha tumne jab
mein vichaaron ki duniya ghoom raha tha tab priye
har gali har mod par paas apne kojta mein
tum nazar aayi bhi to kuch faasle zaroor the
Mein guzarta chala gaya aur paas na aayi tum priye
Kya asambhav tha kabhi aana kareeb tuhaare liye
Dosto ki bheed mein ek dost shayad mein bhi tha
Kyu na badh kar haat mera tum ne thama O priye
Kya kaha kya na kaha kyu na poocha O priye
kud se kahun ga mein jo kuch
aadat ye meri nahi priye
Kyu na aaya mein bhi agar chahta hu iis kadar
Raat saari jo tumhari guzri iisi soch mein
Mar chuka tha jism mera aur yeh ajeeb baat hai
Markar bhi aana chahta hoon mein phir tere paas priye