Wednesday, 19 October 2011

Jeevan - ek paheli



Mera aana mera jaana, yeh mere bus ki baat nahi
Mein to ek kathputli hoon, jiski dor uparwale ne thami

Mujhe laya gaya auro ke liye,
Meine un auro se hazaroo waade kiye

Har shai pe mein muskarata raha
Hansi mein gumon ko chupata raha
jaanta hoon wajood nahi mera koi
Mera aana mera jaana, yeh mere bus ki baat nahi

Kabhi pyar se sehlaya gaya
Kabhi nafrat se dutkaara gaya
Mein ek kashti sa majdhar mein
Hawa ke jhonkon se behta gaya

Kabhi pedon ki ghani chaanv mein
Kabhi dhup waali fizaaon mein
Sulaya gaya aur jagaya gaya
Meine sirf maun suna, suni koi aawaz nahi
Mera aana mera jaana, yeh mere bus ki baat nahi

Tumhe bachpan se hoon dekhta
Sub kahen ki tum ho meri maa
par iis baat se mein hairaan hoon
thoda sa bechain hoon, thoda pareshan hoon
tumne sirf mere zakham dekhe, dawa na di tumne koi

Kya mein itna bura hoon sach bata
kyu na mujh par tujhe kabhi pyar aata
Mein bhi to tera ek aang hoon
Chahe aur kisi ke bhi sang hoon
Lekin kabhi suna hai tumne
Koi tehni vriksh se alag hui
Mera aana mera jaana, yeh mere bus ki baat nahi

Chuna nahi tha meine jinko, woh rishte sub kanhi kho gaye
Mein jaaga intezaar mein, woh chadar taan ke so gaye
Mein raat bhar rota raha aur yeh saara vishv sota raha
Kya zara bhi tumhe ehsaas hai
Meri muskarahat dekhi tune, mere aansuon ka kyu hisaab nahi

Ek pyaase fakir sa, mein talaash raha kis pyaar ko
Koi badhkar mujhe aawaz dega, mein taras raha uus pukaar ko
Guzra bahut seheron se mein, jaane kisi ki talash mein
Haaton mein ek dhaaga pakde, phool meine paye nahi
Mera aana mera jaana, yeh mere bus ki baat nahi

Hey ishwar tumhaara shukriya, joh di mujhe yeh zindaagi
jaana har ek mitr ko aur shatru ki pehcaan di
Mein khush hoon aaj yeh jaan kar
Teri rehmat sadaiv mujh par rahi

Mera aana mera jaana, yeh mere bus ki baat nahi
Mein to ek kathputli hoon, jiski dor uparwale ne thami

 Written by Vaibhav Maitreya

No comments:

Post a Comment